People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 3 *

Rafta Rafta
Lyricist: Nikhat Khan
Tag: hindi
Audio: https://music.youtube.com/watch?v=nhey44mO_oQ
Video:
Na Kasoor Hai Mera
Na Kasoor Dil Ka Hai
Ye Khata To Hai Teri
Tu Khubsoorat Hai

Andekhe Dhaago Se
Tu Bandh Raha Hai Mujhko
Mera Dil Karta Hai
Inn Dhaago Mein
Bandhta Hi Jaau

Rafta Rafta Ki Rafto Mein Tere Aa Jau
Rafta Rafta Sikast Main Tujhse Paa Jau
Rafta Rafta Ki Rafto Mein Tere Aa Jau
Rafta Rafta Sikast Main Tujhse Paa Jau

Maine Neend Ko Aane Na Diya Tere Liye
Sau Sau Bahane Karti Hai Aankhe Tere Liye
Kya Kahu Main Kisse Kahu Mere Dil Ki
Aabhi Ja Ab Bed Sirhaane Mere Liye

Tu Kinna Masum Hai
Ye Mujhe Maalum Hai
Main Tere Uthe Mar Gayi Aa
Tu Sohna Mera Yaar Ve

Sanso Ki Jagah Tum Ho
To Main Jee Jau

Rafta Rafta Ki Rafto Mein Tere Aa Jau
Rafta Rafta Sikast Main Tujhse Paa Jau
Rafta Rafta Ki Rafto Mein Tere Aa Jau
Rafta Rafta Sikast Main Tujhse Paa Jau

Ek Tarfa Duniy Ko Maine Kar Diya
Jabse Tujhe Apna Hi Maine Keh Diya
Tere Sadke Main Vaar Doon Ab Har Khushi
Tujhko Apna Humnava Maine Chun Liya

Tu Kinna Pyar Karti Hai
Ye Mujhe Maalum Na Tha
Main Tere Uthe Mar Gayi Aa
Tu Sohna Mera Yaar Ve

Tere Ishqe Dariya Mein
Dil Kare Beh Jaau

Rafta Rafta Ki Raft Mein Tere Aa Jau
Rafta Rafta Sikast Main Tujhse Paa Jau
Rafta Rafta Ki Raft Mein Tere Aa Jau
Rafta Rafta Sikast Main Tujhse Paa Jau.
Hum Dekhenge
Lyricist: Faiz Ahmed Faiz
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/hum-dekhenge/OyIpawBZVUk
Video:
Hum dekhenge, hum dekhenge
Hum dekhenge, hum dekhenge

Hum dekhenge, hum dekhenge
Lazim hai ke hum bhi dekhenge
Hum dekhenge

Woh din ke jiska wada hai
Jo lauh-e-azal mein likha hai
Hum dekhenge

Lazim hai ke hum bhi dekhenge
Hum dekhenge

Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garan
Rooi ki tarha udd jayenge
Hum mehkoomon ke paaon tale
Yeh dharti dhad dhad dhadkegi

Aur ahl-e-hakam ke sar upar
Jab bijli kad kad kadkegi
Hum dekhenge

Jab arz-e-khuda ke kaabe se
Sab but uthwaye jayenge
Hum ahl-e-safa mardood-e-haram
Masnad pe bethaye jayenge

Sab taaj uchhale jayenge
Sab takht giraye jayenge
Hum dekhenge

Bas naam rahega allah ka
Jo gayab bhi hai hazir bhi
Jo manzar bhi hai nazir bhi
Uthega anal-haq ka nara

Utthega anal-haq ka nara
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
Aur raaj karegi khalq-e-khuda
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
Hum dekhenge

Hum dekhenge, hum dekhenge
Hum dekhenge
Jaya Hey
Singer: Salman Ali
Lyricist: Manoj Muntashir
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/jai-he-from-satellite-shankar/Q1AiQB1zfWE
Video:
Jai he, jai he, jai he

Jai he, jai he, jai
Jai hey, jai hey
Jai he, jai he, jai
Jai hey, jai hey

Jhukta hai sirf do ke aage sar mera
Pehla to hai tiranga, fauji doosra
Har dushman hai tujhse haara
Yeh vaada hai ab to yaara
Saara jahan kahega

Jai he, jai he
Jai he, jai he, jai he

Bujhe nahi jo hawaon mein
Hai woh noor tu
Sada sada se watan watan ka guroor tu
Tere hi dum se kaayam hai aazadiyan
Hai bandigi ke kaabil teri vardiyan

Tu jaan se bhi zyada pyara
Yeh vaada hai ab to yaara
Saara jahan kahega

Jai he, jai he
Jai he, jai he, jai he.